Sunday, 25 October 2015

(¯`'·.¸H a p p y 51th B i r t h d a y¸.·'´¯)













Main likh du tumhari umar chand sitaaro se,

Janamdin manau main phoolo se baharo se,

Har ek khoobsurti duniya se main lekar aau,

Mehfil ye sajaau main har haseen nazaro se.


















hamari aankh main yadoon k zakham rehne do abhi

hamre hath se pholon ki daal mat chino


abhi bujhao na candle,na hi cake kato


kuch or dair mera pichla saal rehne do abhi
















 I may not be by your side..celebrating your

special day with you.. but I want you to know

that I’m thinking of you.. and wishing you

a wonderful Birthday!




















The way you’ve supported me through all ups and downs…
the way you’ve listened to me, understood me when I needed it the most…
I’ve discovered the most amazing friend in you…
Thank you so much for being you, and Happy Birthday!

















We fight, we make up,
Sometimes you’re my friend, sometimes a guide,
You are the person in whom I take pride.
May you get the best of everything in life!
May you always fly high in life and touch all your dreams. With lots of love,


Tuesday, 20 October 2015

Gayi rutoon key kuch khawab sunbhal rakhna





Gayi rutoon key kuch khawab sunbhal rakhna 
Sard shaamon key chand azaab sunbhal rakhna 

Muhabbt may rawa rakhay hain tu ne sada asol-e-tijarat 
Aye jaan-e-wafa sood-o-ziyan kay wo sub hisaab sunbhal rakhna

 Teri chahat may ta-umr shair kehtay rehay 
Ab ghazal ki wo mehakti kitab sunbhal rakhna 

Tareeq-e-wafa kay sub asloob aik shab-e-vasl nay sikha diye 
Ulfat kay wo sub nisaab sunbhal rakhna

 Dastaan-e-safar jo usay suna suna kay roye hum 
 Sisaktey hurfoon ki wo sisakti kitaab sunbhal rakhna 




Suno Jaanan! Palat aana k koi yaad karta hai









Suno jana!
Palat ana
K koi yad karta hai
Tumhen awaz deta hai
Tumhe khush dekhne k vaste
Apne dil-e-muztir ko jo na shad karta hai

Tumhari ik jhalak k vaste
Galiyon mein
Raston mein
Subha se sham
Din se rat karta hai

Jinhen tum se aqeedat hai
Teri be laos chahat hai
Tumhen takne ki hasrat hai
Jinhen tum se mohabbat hai
Unhen kuch waqt dete hain

So gar mumkin ho kuch aisa
To un ki chah ki khatir

Suno Jaanan!
Palat aa na
k koi yaad karta hai 


Mujh mein kuch "TUM" reh jao



suno!
Ek kam karna
Chaand se thori si matti lana
Us se tum piyarey se 2 dost bnana
Ik tum jaisa
Ik mujh jaisa
Phir un ko tum tor dena
phir un se 2 aur banana
Ik tum jaisa
Ik mujh jaisa
Ta k tum mein kuch " MAIN" reh jaon
Aur
Mujh mein kuch "TUM" reh jao

 

Kitab-e-Mazi ko band ker kUs ki yaadon mein kho gaya main




Bahot hi muddat k baad kal jab
Kitab-e-Mazi ko main ne khola
Bahot se chehre nazar mein utre
Bahut se namon pe dil paseeja
Ik aisa safah bhi us mein aya
Likha hoa tha jo aansu se
K jis ka unwaan 'HUMSAFAR' tha
Woh safah sab se motbar tha
Kuch aur aansu phir us pe tapke
Phir uss se aagey main parh na paya
Kitab-e-Mazi ko band ker k
Us ki yaadon mein kho gaya main
Agar woh milta to kaisa hota
Inhi khayalon mein so gaya main




Tere Sung..!






Rut ki Pehli Shararat main
khule Asmaan taley
Badilon ki chatri Orhe
Thandi Hawa ki Athkelion main
Neher Kinare Lambi sarak pe
Mitti ki khushboo ke sung
Barish ke jhoomte naachite qatre saath liye
Door tak chalna
Kitna acha laga 
Tere Sung..!



Thursday, 8 October 2015

Udas Raaton Mien Tez Coffee Ki Talkhiyon Mien


Udas Raaton Mien Tez Coffee Ki Talkhiyon Mien
Wo Kuch Ziyada Hi Yaad Ata Hai Sardiyon Mien,

Mujhey Ijazat Nahin Hai Us Ko Pukaarney Ki,
Jo Goonjta Hai Lahu Mien,Seeney Ki Dharkanon Mien,

Wo Bachpan Jo Udaas Rahon Mien Kho Gaya Tha,
Mien Dhondta Hun Usey Tumhari Sharartoun Mien,

Usey Dilasey To Dey Raha Hun Magar Ye Such Hai,
Kahien Koi Khauf Barh Raha Hai Tasalliyon Mien,

Tum Apni Pouron Sey Janey Kia Likh Gaye Thay Jana,
Charagh Roshan Hain Ab Bhi Meri Hatheliyon Mien,

Jo Tu Nahin Hai To Ye Mukammal Na Ho Sakiengien,
Teri Yehi Ehmiyat Hai Meri Kahaniyon Mien,

Mujhey Yaqeen Hai Wo Thaam Ley Ga, Bharam Rakhey Ga,
Ye Maan Hai To Diye Jalaye Hain Andhiyon Mien,

Har Ik Mausam Mien Roshni Si Bekhairtey Hain,
Tumharey Ghum Key Charagh Meri Udasiyon Mien.

wo maayusi ke lamhon mezara bhi hosla deta



wo maayusi ke lamhon me
zara bhi hosla deta
to
hum khaghaz ki khashti par
samander me uter jatey!


Sunday, 4 October 2015

" Z I N D A G I"




Ae   Z I N D A G I  Itni Badsalookian...!
Hum  Kon Sa Bar Bar Aenge...!!!

Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa,Umar Guzri Tujhe Dekhe Howay Behlaye Howay




Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa,
Umar Guzri Tujhe Dekhe Howay Behlaye Howay

Yad Hai?
Hum Tujhe Dil Mante Thay
Apne Seene Mein,
Machalta Howa Zidi sa Bacha
Tere Har Naz Ko,
Ungli Se Pakar Kar Aksar

Nit Naye Khawabon,
K Bazar Mein Le Aate Thay
Tere,Har Nakhre Ki Farmaish Par,
Aik Jeewan Ki Tamanaon Ki Beenai Se,
Hum Dekhte Thakte hi Na Thay

Sochtay Thay,
Aik Chota Sa Naya Ghar,
Mohabbat Ki Fiza
Hum Dono,
Aur Kisi Bat Pe Takion Se Larai Apni,
Phir Larai Mein Kabhi Hanste Howay Ro Parna,
Aur Kabhi Rote Howay Hans Parna,
Aur Thak Haar Kar Gir Parne Ka Mosam,
Khushi Bakhsh Khayal

Yad Hai?
Hum Tujhe Sukh Jante Thay
Rat Hans perti Thi,
Be Sakhta drshan Se Tere
Dil Teri Doori Se Ro Parta Tha,

yad hai?
Hum Tujhe Jan Kaha Karte Thay,
Teri Khamoshi Se Mar Jate,
Teri Aawaz Se Jee Uthte Thay,
Tujh Ko Choo Lene Se Ek Zindagi Aa Jati Thi,
Sharyano Mein
Thaam Lene Se, Koi Shehr Sa Bas Jata Tha Veerano Mein,

Yad Hai?
Hum Tujhe emaan kaha kerte the,
Kufar Se Dar Jate Thay
Tere Chin Jane Ka Dar,
Theek Se Rakhta Tha Musalman Humain,

Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa,
Tere Bhoole Howay Raston Pe,
Liye Phirta Hai Eman Humain,
Aur Kehta Hai K Pehchan Humain,
Yad Hai ?
Hum Tujhe Eman Kaha Karte Thay.................!



mujhe khoof hai wo nibah ke kisi marhale pe






mujhe khoof hai
wo nibah ke 
kisi marhale pe
ye aa ke keh de 
ke ab nahen
mere dil ko teri talab nahen!!!!



mere qadmon ke nishan raste se mita do



mere qadmon ke nishan

raste se mita do

ye na ho

main in par chal kar

dobara tumhare

pass aa jaon!!!!!




Wo puchta hai Terey khawabon main Kon basa hai Faraz






Wo puchta hai

Terey khawabon main

Kon basa hai Faraz

Ussy kaisy btaun

Ye raat ki tanhaiyan

Mujy sony nahi datien..!



Raat Uss ne Poocha tha: Tum ko Kaisi Lagti Hai Chandni December ki !






Raat Uss ne Poocha tha:
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !
Main ne Kehna Chaha Tha:
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzir ho
Dasht ho , Sumnadar ho
June ho , December ho
Dharkanoo’n ka Har Naghma
Manzaroo’n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai
Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
Chandani December ki....

Wo yaad Aaya Kuch Youn. K Lout Aye Sab Silssilay.





Wo yaad Aaya Kuch Youn.
K Lout Aye Sab Silssilay.
Thandi Hawa.
Surkh Pattay.
Aur,
December Ki Ye Raat



Kabhi khud bhi mere paas aa meri bat sun mera sath de






Kabhi khud bhi mere paas aa meri bat sun mera sath de
jo khalish hai dil se nikal ke mujhe uljhanon se nijat de

tera sochna mera mashghala tujhe dekhna meri aarzoo
mujhe din de apne khayal ka mujhe apne qurb ki rat de

main akaila bhatkoon kahan kahan ye safar bohat taweel hai
meri zindagi mere sath chal mere hathon mein apna hath de





kinare mil nahi sakteMohabbat ki kahani mein mohabbat karne walon ke sitare mil nahi sakte


Ajab din thay mohabbat ke, Ajab din thay rafaqat ke
Kabhi gar yaad aa jayen to
Palkon par sitare jhilmilate hain
Kisi ki yaad mein raton ko aksar jagna mamool tha apna
Kabhi gar neend aa jati to hum ye soch lete thay
Abhi to wo hamare waste roya nahi ho ga, abhi soya nahi ho ga
Abhi hum bhi nahi rote, abhi hum bhi nahi sote
So phir hum jaagte thay aur usko yaad karte thay
Akele beth kar weeran dil abad karte thay
Hamare saamne taron ke jhurmat mein akela chand hota tha
Jo uske husn ke agey bohat he maand hota tha
Flak par anginnat roshan sitaron ko
Jo hum tarteeb dete thay to uska naam banta tha
Jo agle roz jab miltey
To guzri raat ki har bekali ka zikr karte thay
Har aik qissa sunate thay
Kahan kis waqt kis tarha se dil dhadka batate thay
Main jab kehta ke jannan aaj to main raat ko aik pal nahi soya
To wo khamosh rehti thi
Par uski neend mein doobi do jheel si aankhen
Achanak bol uthti thi
Main jab usko batata tha ke main ne raat ko roshan sitaron mein
Tumhara naam dekha hai
To wo kehti tum jhoot kehte ho
Sitare main ne dekhe thay
Aur un roshan sitaron mein tumhara naam likha tha
Ajab Masoom Ladki thi
Mujhey kehti thi lagta hai, ab apne sitare mil he jain ge
Maggar usko khabar kia thi kinare mil nahi sakte
Mohabbat ki kahani mein mohabbat karne walon ke sitare mil nahi sakte
Kinare mil nahi sakte
 



Kuch Khawab hain jinko likhna hai Tabeer ki surat deni hai




                                              


Kuch Khawab hain jinko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch log hain ujray dil walay
jinhien apni muhabbat deni hai
Kuch phool hain jinko chunana hai
Aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neendien baki hain
jinhien bantna hai kuch logoon main
unko bhi to rahat deni hai
Aye umer-e-Rawan
Ahista chal
Abhi khasa qarz chukana hai



Saja Ke Aankhon Mein Khwab Rakhnawafa ke rishte gulab rakhna





Saja Ke Aankhon Mein Khwab Rakhna
wafa ke rishte gulab rakhna

faseel e shab mein chiragh ban kar
ye zindagi mahtaab rakhna

yun ishq ka imtehan dena ke dil ke badly mein jan dena
jo chand chun-ne ki aarzu ho to justuju lajwab rakhna

hazaar batein banaye dunya hazaar dil ko dukhaye dunya
bhula ke sari aziyaton ko utha ke kaante gulab rakhna

kabhi zamane se chhup chhupa k sakoot- e- shab me diye bujha ke
hatheliyon ko dua ki shamma to aankh apni chanab rakhna

adawtein bhi Khuda ki khatir mohabten bhi Khuda ki khatir,
adawten bas gini chuni hon mohabbatein be hisaab rakhna












"Suno Muhabbat To Khushguma Hai"






Tumhari angushtari ke nagg mein
Meri muhabbat chamak rahi hai
Agar kabhi ye guman guzre
Ke tumhein main bholne laga hoon
To is nageene ko dekh lena
Meri nigaho ki jagmagahat
Tumhari ankhon se ye kahe gi
"Suno Muhabbat To Khushguma Hai"
Agar koi bugz-e-dil ka mara
Nazar se toota hua sitara
Tumhare seene mein waswason ke
kaseele khanjar utarta ho
ke wo, jo dil phaink-o-bewafa hai
ke wo, jo sab pe farefta hai
ke wo, jo pardes ja basa hai
Tumhein bhanwar beech chor de ga
Wafa ke sab qaul toor de ga
To is se pehle ke roo paro tum
To is se pehle ke jal bojho tum
To is se pehle ke ye kaho tum
Wo ahd-o-peman sab ghalat they
Wafa ke unwaan sab ghalat they
Seher ke imkaan sab ghalat they
Tum apni angusht-e-dilruba per
Gulab Chehra Jhuka Ke Kehna
"Suno Wo Sach Much He Bewafai Hai?"
Tumhara rota sawal sun kar
Ye shokh nagg muskura pare ga
muhabbaton ke safeer ban ke
Ye surKh nagg aur haseen angoothi
Meri numaindagi karein ge
Tumhare chehre se chher karte
Tumhari ankhon ke rang parhte
Tumhare balon pe hath rakh ke
Tumhare galon ko thapthapa ke
Haseen angushtari kahe gi
"Suno Muhabbat To Khushguma Hai"


Koi aesa pal bhi huwa kare



Koi aesa pal bhi huwa kare
Main kahun tu bas wo suna kare
Meri fursatein mere mashghale
Sabhi apne naam likha kare
Koi baat ho kisi shaam ki
Koi zikar ho kisi raat ka
Jo sunane bethon usey kabhi
Wo sune to sun ke hansa kare
Jo main kahon chalo us nagar
Jahan jugnuon ka hajoom ho
Wo palat ke dekhe meri taraf
Aur mujhko pagal kaha kare