Saturday, 4 March 2017
Wednesday, 1 March 2017
Thursday, 23 February 2017
Monday, 20 February 2017
Friday, 17 February 2017
Wednesday, 15 February 2017
Desire Brings Ruin
Kabhi Heere Kabhi Pukhraj me Dhalne wale
Hum Ne Pather Bhi Chune To Rung Badalne Wale
Muqadaron ki Lakeeron se maat khaa hi gaye
Hum aik dusre ka haath choomne wale
Usi muqaam per mujhe dekh ker Tanha
bohut Udaas hue Phool Bechne wale
Tuesday, 14 February 2017
Hijer pehli SHAAM....
Hijr Ki Pahli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye The
Ham Jab Us Ke Shahar Se Nikle Sab Raaste Sath laaye The

Jaane Wo Kyaa Soch Rahaa Thaa Apne Dil Men Saari Raat
Pyaar Ki Baaten Karte Karte Us Ke Nain Bhar Aaye
Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Usi Din Pat-Jhad Ki
Jis Din Apne Joode Men Us Ne Kuchh Phool Sajaaye The
Us Ne Kitne Pyaar Se Apnaa Kufr Diyaa Nazaraane Men
Ham Apne Imaan Ka Saudaa Jis Se Karne Aaye The
Kaise Jaati Mere Badan Se Beete Lamhon Ki Khushboo
Khwaabon Ki Us Basti Men Kuchh Phool Mere Ham-Saaye The
Sunday, 12 February 2017
orrr phir apni anaa k paoon pay sir rakh dia...
kal hamaisha ki terhaa usnay kaha ye phone per,
main bohat masroof hoon mujhe bohat say kaam hain..
is leye tum aoo milnay main to aa sakti nahi,
her riwayat toor ker is baar main nay keh dia..
tum jo ho masroof to main bhi bohat msroof hoon,
tum ager ghamgeem ho to main bhi bohat ranjoor hoon..
tum thakan say choor to main bhi thakan say choor hoon,
jan-e-man hai waqt mera bhi bohat he qeemti..
kuch pouranay doustoon nay milnay aana hai abhi,
main bhi ab farigh nahi mujhko bhi lakhoon kaam hain..
werna kahnay ko to sab lamhay tumharay naam hain,
meri ankhain bhi bohat bojhal hain sona hai mujhay..
ratjago k baad abb neendoon main khoona hai mujhay,
main lahooo apni anaoon ka baha sakta nahi..
tum nahi aa saktin to milnay main bhi aa sakta nahi,
uss ko ye kah ker wasi main nay reciever rakh dia,

Wednesday, 8 February 2017
If U listen carefully d silence is beautiful....
Kaha Ho Tum Chalay Aao Mohabbat Ka Taqaza Hay
Ghum -e- Dunya Say Ghabra Kar Tumhay Dil Nay Pukara Hay

Tumhari Be Rukhi Ak Din Hamari Jaan Lay Lay Gi
Qasam Tum Ko Zara Socho Keh Dastoor -e- Wafa Kia Hay

Na Janay Kis Liye Dunya Ki Nazray Phir Gaii Ham Say
Tumhay Dekha Tumhay Chaha Qasoor Is Kay Siwa Kia Hay

Na Hay Faryaad Honton Per Na Aankhon Main Koii Aansoo
Zamanay Say Mila Jo Ghum Us Nay DIL Ko Mitaya Hay
Zamanay Say Mila Jo Ghum Us Nay DIL Ko Mitaya Hay
Kaha Ho Tum Chalay Aao Mohabbat Ka Taqaza Hay
Ghum -e- Dunya Say Ghabra Kar Tumay DIL Nay Pukara Hay

Subscribe to:
Posts (Atom)