Monday, 4 January 2016

Nazam





Tujh pe Alfaaz Nahi waarenge
Ab Tujhe Khaamoshi se MAarenge







Mujhey Maloom Tha Ye Roz-e-azl se
K..!!
Tum Mere Ho Sakte Nahi
Mager..!!
Dekho Mujhe phir Bhi 
M U H A B B A T
Hogayi Tum Se...!!!

 












"A H M I Y A A T"

Us ne Apni saari Keemti cheezen 
Utha kr sambhaal li
siwaaey Mere....!!





Ik Khawaab ki Hasrat ne Bhuja Di Ankhain
Dard per Zabt ki Koshish ne
Mujhe Tor Dia
Aur.....!
Ik Saans ki Chahaat ne 
Mujhe Maar Dia
Tujhe Haar Dia..!







 Mere Teemar Daaron se
Maseeha jab ye keh denge
Dawa Taseer kho bethi
Dua ka Waqt AA pohncha.!
ye Bemaari ik bahana thi 
Qaza ka waqt AA pohcha.!
To...!
Kia Tum Itni Behiss Ho
Yaqeen Is Per Na Laogi
To...!
Kia Tum Itni Zaalim Ho
Mujhe Milne Na Aogi? 





"Wafa Ka Dard"
Tum ko Aata hai Piyar Per Ghussa
Or
Mujhe ko Ghusse Pe Piyar Aata Hai. 





"I N K I S H A A F"
Na WADA hai koi Tum se 
koi Rishta Nibhane ka
Na koi hi
Dil me Tahaiyya ya irada hai.!
Kaei Din Se Mager Dil me
Ajab Uljhan Si Rehti Hai.!
Na Tum Is Dastaan K Sersiri Kirdar ho koi
Na Qissa Itna Saada hai
Ta'aluq
Jo me Samjhi Thi
Kahin is se Ziyada hai!!





"N A R A Z G I"
Mene ye kaam 
Apni khushi se kia hai 
Ya..!
Kisi Majboori ke tehet
Maloom Nahi.!
Lekin ye hua hai
K! Mene
Apni Tanhaayun ki Ungliyon se
Tumhari yaadon ki Anghoothiyan
Utar Phenki Hain..!






"I G N O R A N C E"
Usey me Yaad Ati Hoon
Mager..!
Fursat ke lamhon me
Mager..!
ye bhi sach hia k!
Usey Fursat Nahi Milti.







"J A" A N A"
Tumhaari Yaad Aye
To..!
Mujhe Saans Lene Ka Amal
Asaan Lagta Hai.

 


Kya bohat zaroori hai?
Khawb posh ankhon mein,
Aansuyon ka bhar jana?

Hasrton se saahil par,
Titliyon ka mar jana?
 

Habss ki hawaaon mein,
Khushbuyon ka dar jana?
Dil ke garam sehraa main,
Hashar hi barpaa hona?
Dard la’dawaa hona ?
Kya bohat zaroori hai?

Ab Tera "JUDA" Hona? 








Batao naa
Jab jab shaam dhalay gi,
Dil main verani utray gi,
Ankhain bhar aein gi,
Dil dard ki surat dhal jaye ga,
Jab tu rasta badal jaye ga,
tu janaan….
Hum tanha ji na paien ge
Ya… mar jainge!!..








Mujhe khamosh rehne do,
Suna hai ishq sacha ho,
To khamoshi
lahu ban kar,
Ragon mein
naach uthti hai,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do,
Usey mein kyun bataon,
Usey mene kitna chaha hai,
Bataya to jhoot jata hai,
Ke
Sachi baat ki khushbuu,
To khud mehsoos hoti hai,
Meri baatein,
Meri sochein,
Usey khud jaan lene do,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do..









Meri aankhon pe marta tha,
Meri baton pe hansta tha,
Na jane shakhs tha kaisa,
Mujhe khone se darta tha,

Mujhe jab bhi woh milta tha,
Yahi har bar kehta tha,
Suno!
Agar me bhool jaon to,
Agar me rooth jaon to,
Kabhi wapis na aaon to,
Bhula pao ge yeh sab kuch,
Yunhi hastey raho gaye kya,
Yunhi sajtey raho gaye kya,

Yehi batain hain bas uski,
Yehi yadein hain bas uski,
Mujhe bas hai pata itna,
Mujhe woh pyar karta tha,
Mujhe woh pyar karta tha..









Judaayi ke mosam main,
Utarti shaam se pehle,

Meri yakh-basta ankhon main,
Khaamoshi raqss karti hai,

To uss ki yaad ki payal,
Yoon mere kaan main aa kar,

Mussalsal chanchhanati hai,
To phir yakdam khaamoshi ka,

Tassalsul toot jata hai,
Phir aise mein koi koyal,

Barre hi qarb se kookay,
To yoon mehsoos hota hai,
Ke jaise be-sabab koi,

Kissi ko yaad karta hai,
Kissi ko yaad karta hai…









Usey kehna,
Keh thakk sa geya hoon,
Mein khud ko saabit karte karte,
Agarchey, mere tareekay galat honge,
Iraadey magar sachh pe mabni hain,
Tum agar chaaho,
To mere jazbon ka imtehaan lo,
Mere haq me faisla dene ko,
Suno ab to to tthaan lo,
Usey kehna,
Ke thakk sa geya hoon..









Sulagti talkhh baton se,
Barre bedard hathon se,
Ye zalim hijar ki barchi*,
Meri chahat ke Seeney me,
Kuch ese gaarrh di tum ne,
Lo dekho haar di tum ne,
Mohabbat maar di tum ne..








Poora chand ankhon mein bharna,
Tumse dil mein baaten karna,
Ik jesa hai,
Yeh ankhon mein,
Aur tum dil mein,
Jitne paas ho,
Utna sukh ho,
Kitne door ho,
Dukh hi dukh ho..








Bohat khamosh reh ker jo,
Sadayein mujh ko daita tha,
Barre sundar se jazbon ki,
Wafain mujh ko daita tha,

Kabhi jo dard ki aatish mujhe,
Sulganay lagti thi,
Woh apnay saans ki,
Mehki hawaayein mujh ko daita tha,

Usay main ajnabi samjha,
Magar har mor par ‘mohsin’,
Woh apnay naam ki saari
Duaein mujh ko daita tha..









Mujhe na saans ati hai,
Na mera damm nikalta hai,
Magar yeh beech ka aalam,
Bohat takleef deta hai,
Mujhe andar nigalta hai,
Na saahil par pattakta hai,
Bikharna yun samandar ka,
Bohat takleef deta hai,
Jo tum bolo bikhar jayen,
Jo tum bolo sanwar jayen,
Magar yun tootna jurrna,
Bohat takleef deta hai..









 Zehen ke khayalon main, 
Rooh ke ujaalon main, 
Zindagi ki jheelon main, 
Zaat ki faseelon main, 
Rat.jagon ke daaman main,
Dil ke khushk sehraa main, 

Chashm-e-tar ke ke daryaa main, 
Dard ke jahaan main bhi, 
Ashk-e-be.zubaan main bhi,
Aur kuch nahin rehta, 

Teri yaad rehti hai..












Kal hamesha ki tarah uss ne kaha 

yeh phone pr 
main bohat masroof hoon mujh ko bohat se kaam hain
Is liye tum aao milne

 main to aa nahin sakta
ab har riwaayet torr kar iss baar maine keh diya
Tum jo ho masroof to main bhi bohat masroof hoon 

tum jo ho mashoor to main bhi bohat maroof hoon
Tum agar ghamgeen ho main bhi bohat ranjuur hoon

 tum thakkan se chuur ho
 main bhi thakkan se chuur hoon
Jaane mann hai waqt mera bhi bohat hi qeemti 

kuch purane doston ne milne ana hai
 main bhi ab farigh nahin 
mujh ko bhi laakhon kaam hain
Warna kehne ko to sab lamhe

Tumhare Naam Hain 
meri ankhen bhi bohat bojhal hain sona hai mujhe 
rat.jagon ke baad neendon main khona hai mujhe
Main lahuu apni anaaon ka bahaa sakta nahin

 tum nahin aati to milne main bhi aa sakta nahin
Us ko yeh keh kar Wasi maine receiver rakh diya

 aur phir apni anaaa ke paaon pe sar rakh diya..












Ab ke uss ki ankhon main Be-sabab udaasi thi 

Ab ke uss ke chehre pr Dukh tha, 
be-hawaasi thi 
Ab ke yuun mila mujhse Yuun ghazal suni jese
 Main bhi na-shanaasa hoon Woh bhi ajnabi jese 
Zard haal-o-hadh us ke Sogwaar daaman tha 
Ab ke uss ke lehje mein Kitna khurdraa-pan tha
 Woh ke umar bhar jis ne Sheher bhar ke logon mein 
Mujh ko hum-sukhan jaana 
Khud sa meherbaan samjha
Mujh ko dilrubaa likha

 Ab ke saada kaghaz pr Surkhh roshnaayi se Uss ne 
talkhh lehje mein Mere naam se pehle
 Sirf bewafa likha 
Sirf bewafaa likhaa..











Bara dushwaar hota hai Zara sa faisla karna
Ke jeevan ki kahani ko Beyaan-e-bezubani ko 

Kahan se yaad rakhna hai Kahan se bhool jana hai
Kise kitna batana hai Kis se kitna chupaana hai 

Kahan ro ro ke hasna hai Kahan hans hans ke rona hai
Kahan awaz deni hai Kahan khamosh rehna hai

 Kahan rasta badalna hai Kahan se laut aana hai
Bara dushwaar hota hai Zara sa faisla karna..