Esi Se Hota Hai Zahir Jo Haal Dard Ka Hai,
Sabhi Ko Koi Na Koi Wabal Dard Ka Hai,
Sabhi Ko Koi Na Koi Wabal Dard Ka Hai,
Sehar Saskty Huye Aasman Sy Utri,
To Dil Ny Jaan Liya Ye Bhi Saal Dard Ka Hy,
Aub Us K Bad Koi Rabta Nahein Rakhna,
Ye Baat Tty Hui Laikin Sawal Dard Ka Hy,
Ye Dil Ye Ujrri Hui Chasham-E-Namm Ye Tanhai,
Hamary Paas To Jo Bhi Hy Maal Dard Ka Hy,
Ye Jhank Laiti Hy Dil Sy Jo Doosary Dil Mein,
Mairi Nigaah Mein Sara Kamal Dard Ka Hy,
Aseer Hy Mairi Shaakh-E-Naseeb Patt Jharr Mein,
Mairy Prnda-E-Dil Par Bhi Jaal Dard Ka Hy,
Baddal Gaye Mairy Halat-E-Dil To Kaya Hoga ?
Ye Aisi Baat Hy Jis Mein Zawal Dard Ka Hy,
Dilon Py Zinda Tha Dil Hi Nahein Rahy Yahan,
Aub Aisy Shehar Mein Jeena Muhal Dard Ka Hai,
Jamood Torrti Aankhein Sakoot Torrty Lab,
Ye Naak Naqsha Ye Sub Khadd-O-Khal Dard Ka Hy,
Suna Hy Tairy Nagar Ja Basa Hy Be-Chara,
Sunao Kaisa Wahan Haal Dard Ka Hy ?
Wagrna Khar-O-Khazan K Siwa Nahein Kuchh Bhi,
Bas Aik Phool Mairi Dall Dall Dard Ka Hy,
Ukhrrti Jati Hy Deewana Waar Airriyon Sy,
Zameen-E-Jaan Py Hamari Dhamal Dard Ka Hy,
Faqeer Bethy Huye Hain Bohat Sakoon Sy Hum,
Tairi Judai Ki Kattiya Hy Payaal Dard Ka Hy,
K Hum Ny Kis K Liye Jaan Azaab Mein Dali,
Hamein To Aaj Bhi Khud Sy Malaal Dard Ka Hy,
Hamary Seeny Mein Dil Ki Jaga Py Pathar Hy,
Isi Liye To Yahan Aisa Kall Dard Ka Hy,
Tumhari Chaah Ny Dhondi Thi Mairi Aabadi,
Ye Ghao Seeny Ki Basati Mein Khal Dard Ka Hy,
Ye Ishq Hy Isy Teemar-Dariyan Kaisi,?
Isy Na Poochh Ye Boorr'Ha Nandhal Dard Ka Hai,
Hum Us Ko Daikhty Jate Hain Roty Jaty Hain,
Ye Sehan-E-Shab Mein Parra Hy Jo Thal Dard Ka Hy,
Na Tum Mein Sukh Ki Koi Baat Hy Na Mujh Mein Hy,
Tumhara Aur Maira Milna Wassal Dard Ka Hy,
Abhi Kahein Sy Karri Koi Bhi Nahein Tooti,
Abhi To Silsila Sara Bahaal Dard Ka Hy,
Mairi Taraf Sy Guzar Ka Khayal Rahny Do,
Ye Rasta Bhi Bohat Pa'Imaal Dard Ka Hy,
Dil-O-Nazar To Rahein Gy Sakoon Mein Laikin,
Shab-E-Faraaq Mujhy Ahtmaal Dard Ka Hy,
Kisi Ka Dard Ho Apna Samjhny Lagty Hain,
Hamary Paas Yahi Kuchh Maal Dard Ka Hy,
Yahein Kahein Mairy Andar Koi Tarrpta Hy,
Yahein Kahein Py Koi Yarghmaal Dard Ka Hy
Isi Liye To Hamein Ajaz Ka Qareena Hy,
Hamari Zaat Mein Jaah-O-Jamal Dard Ka Hai,
Hy Maar Rakhny K Darpy Tairi Maseehai,
Jo Dorra Phirta Hy Mann Mein Ghazaal Dard Ka Hy,
Wahein Kahein Kisi Ghaati Mein Taira Hijar Bhi Hy,
Mairy Lahoo Sy Jahan Itssaal Dard Ka Hy,
Nafas Nafas Py Parry Aablon Sy Lagta Hy,
Na Jany Rooh Mein Kab Sy Ubaal Dard Ka Hy,
Yahi To Faraq Hy Un Mein Aur Aap Mein FARAHT,
Kisi Ko Apna Kasi Ko Khayal Dard Ka Hy,
Kisi Ny Poochha K FARHAT Bohat Haseen Ho Tum ?
To Muskra K Kaha Sub Jamal Dard Ka Hai.........!