Monday 31 August 2015

Khwahishon Ke Angan Me Raat Din Basere The





Khwahishon Ke Angan Me Raat Din Basere The

Titliyaan Tumhaari Thi Or Phhol Mere The

Chaand Asmano se, jab Zameen Pe Oterta Tha

Dekhne Me Raaten Thi Asal Me Sawere The

Tere Paas Basne Ki Khayi Thi Qasam Lekin

Sheher Bhi Piyara Tha Log Bhi Lootere The

Loot Gaye Hen To Kasoor Kis ka Hai?

Khwahishen Bhi Teri Thi Fesle Bhi Tere The














Shab-e-Tanhai Usey Kehna..!!



Shab-e-Tanhai Usey Kehna..!!
Hamari Neend Lauta De
Ke Uski Yaad Me Be-Hud Aziyyat Hai
Ya Apna Naqsh Dho Jaye
Ya Phir Mera Hojaye

Ab Apni Talash Karta Hoon







Pehle Thi Justujoo Teri
Ab Apni Talash Karta Hoon

Yaad Ayga Wo Shakhs Mujhe Mar Jaane Tak







Dil Ki Khamoshi Se Saanson Ke Theher Jaane Tak
Yaad Ayga Wo Shakhs Mujhe  Mar Jaane Tak

Meri Ankhain Jise Choo Len Wo Sapna Roz Marta Hai







Meri Khawabon ki Basti Se Janaze Othte Jaate Hen
Meri Ankhain Jise Choo Len Wo Sapna Roz Marta Hai

Mujhko Mujhi Me Wo Ab Nahi Milta







Bebasi Ka Ajeeb Talatum Hai
Mujhko Mujhi Me Wo Ab Nahi Milta

Teri Berukhi Ne Cheen Li Hen Sab Shararten Meri







Teri Berukhi Ne Cheen Li Hen Sab Shararten Meri
Or Log Samjhte Hen Me Sudher Gaya Hoon

Us ki Ankhain Samandar se Bhi Gehri Thi







Us ki Ankhain Samandar se Bhi Gehri Thi
Terna To ata Tha Mager Doobna Acha Laga

Toot Ager Hum Gaye To Bikher Tum Bhi Jaoge




Hum ne Ahsaas Ke Dhaage Me Piroya Hai Tumhen
Toot Ager Hum Gaye To Bikher Tum Bhi Jaoge

Sunday 30 August 2015

Me Sataon Laakh tumko



Me Sataon Laakh tumko, Na Manaon Lakh tumko
Meri Eltija Hai Ye Tum Se,  Jo Kabhi Me Rooth Jaon
Mujhe Tum Roothne Na Dena

Usey Ye Gumaan Ke Me Jaan Na De Paongi







 Usey Ye Gumaan Ke Me  Jaan  Na De Paongi
Mujhe Ye Khof Ke Royga Bohot Woh Azma k Mujhe

Kisi Ka Rooth Jana Or Achanak Bewafa Hona







Kisi Ka Rooth Jana Or Achanak Bewafa Hona
Muhabbat Me Yehi Lamhe Qyamat ki Nishaani Hen

Me Bhi bohot Ajeeb hoon Itna Ajeeb Hoon k Bas!







Me Bhi bohot Ajeeb hoon Itna Ajeeb Hoon k Bas!
Khud Ko Tabah Kerlia or Malaal Bhi Nahi

Ye Mujhe Chain Kiun Nahi Ataa





Ye Mujhe Chain Kiun Nahi Ataa 
Aik Hi shakhs Tha Jahan Me Kia..??

Mujhe Woh Chaand se Mnsoob kerne wala Shakhs







Mujhe Woh Chaand se Mnsoob kerne wala Shakhs 
Meri Talab Me Kabhi Baam pr Nahi Aya

Me Uski Qaid Se Azaad Kahan Hoon Mohsin







Me Uski Qaid Se Azaad Kahan Hoon Mohsin
Bana Ke Rakhta  hai Sochon me Yrghamal Mujhe

Anna Ke Qaid Khane Me Woh Baghi Si Mujrim Hoon









Anna Ke Qaid Khane Me Woh Baghi Si Mujrim Hoon
Jisse Phansi Chara Dala  Muhabbat Ke Wakeelon Ne

Kitaabon ki Daleelen doon Ya Dil Nikal Ker Rakh Doon




Kitaabon ki Daleelen doon Ya Dil Nikal Ker Rakh Doon
Woh Mujhse Pooch Bethe Hen Muhabbat Kisey Kehte Hen

Dil Mera Hai To Maalik Tum Kiun??






Mujhe Insaaf Chahiye Bas!
Dil Mera Hai To Maalik Tum Kiun??

Tu Ne Dekha Hi Nahi Naqsha Meri Tanhai Ka







Tu Ne Dekha Hi Nahi Naqsha Meri Tanhai Ka
Ik Qayamat Hai Jo Her Raat Guzer Jaati Hai

Na Us ne Qaid Me Rakha Na hum Frar Hue






Ajab Hain   Muhabton  Ki Badishen Faraz
Na Us ne Qaid Me Rakha Na hum Frar Hue

Wahan Tak Saath Chalte Hen Jahan Tak Saath Mumkin Hai






Wahan Tak Saath Chalte Hen Jahan Tak Saath Mumkin Hai
Jahan Halaat BAdlege Wahan Tum Bhi Badal Jana

Raat Kis Zor Se Hansa Tha D I L






Raat Kis Zor Se Hansa Tha  D I L
Saaf  Lagta tha ke Rone Wala Hai

Teri Rah Me Bich Ker Ankhain Hum






Teri Rah Me Bich Ker Ankhain Hum
Neend Ka Gher Ujhaar Bethe Hain

Mujh ko Mere Khuloos Ne Kai Bar Duss Lia






             Ay Waqt Ke Luqmaan Hai Koi Mera Elaaj
             Mujh ko Mere Khuloos Ne Kai Bar Duss Lia

Bil Akhir Teri Masroofiat Ke Pesh Nazr








Bil Akhir Teri Masroofiat Ke Pesh Nazr
Tey Hua Hai Ke Tujhe Y A A D Bhi Na Kia Jaye

Ik Sheher Basa Lena Bichere Hue Logo Ka







Ik Sheher Basa Lena Bichere Hue Logo Ka
Phir Shab Ke Jazeere Me   D I L  Thaam Ke So Jana

Zra Talkh Lehje Me Baat Kr Zra Be Rukhi Se Pesh Aa







Zra Talkh Lehje Me Baat Kr Zra Be Rukhi Se Pesh Aa
Me Isi Nigah Se Tabah Hua Mujhe Dekh Na Yun   P I Y A R   Se

Mere Matlab Ka Tha Woh shakhs







Mere Matlab Ka Tha Woh shakhs
Afsos Ke Matlabi Nikla

Is Sheher Me Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhool Gaye






Is Sheher Me Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhool Gaye
Ik shakhs K I T A B O N Jesa Tha Woh Shakhs Zubaani Yaad hua

Kiun Uljhe ho in Sawaalon Main








Kiun Uljhe ho in Sawaalon Main
B E W A F A
Tum Nahi To Hum Honge

Tum Dilaason Ke Pather Nahi Phenkna







Tum Dilaason Ke Pather Nahi Phenkna 
Dard Ke Daaerey Door Talak Jainge

Saturday 29 August 2015

Jaane Wale Kab Aatey Hain Kun Kerte Hen Waade Log








Reza Reza Sapno Wale Toote Chehre Adhe Log
Jaane Wale Kab Aatey Hain Kun Kerte Hen Waade Log

Barson ki Tanhai ki weshat kam to ho Kuch shor to ho
Aye Meri Tanhai ja..! Mujhko kahin se laa de Log

Aas me Bethi Shehzadi ki maang me jhaank chuki chandi
Itni Dair se kiun Atey hen Akhir Ye Shehzaade Log

Piyar ki Rah pe ungli Thame Chal parte hen Andha Dhundh
Na Samjhi me mar jaate hen hum se Seedhe Saade Log

Hum dono me kon tha Mujrim ye Tey hona Mushkil Tha
Adha Sheher tha haami uska sath the mere adhe  Log

Wo mere naseeb ki barishain Kisi aur chatt per baras gaeen!








Yeh jo raig e dasht e firaq hai,
Yeh rukay agar tou nishan milay,
K jo faaslon ki saleeb hai
Ye gari huwee hai kahan kahan
Mere aasman se kidher gaee
tere iltafat ki kehkashan
Mere bekhabar, Mere be-nishan
Ye rukay agar tou pata chale
Mai tha kis nagar, Tu raha kahan!
Keh zaman o makan ki wusetian
Tujhay daikhnay ko taras gaeen
Wo mere naseeb ki barishain
Kisi aur chatt per baras gaeen!

Utaar Di Hai December ne Saal Ki Chaadar





Najane Kitne Dino Se Malaal Ki Chaadar
Lapait Rakhi Hai Tere Khayal Ki Chaadar

Chale Bhi aao K Phir January Ka Mosam Hai
Utaar Di Hai December Ne Saal Ki Chaadar

Tera Khayaal Humain Aor Bhi Sataane Laga
Kisi Ke Rookh Pe Jo Dekhi Jamal Ki Chaadar

Ye Besabab Ka Taghaful Kahan Talak Ja'ana
Kabhi To Orh Kr Niklo Visaal Ki Chaadar

Wo Kehti hai Suno Jana





Wo Kehti hai Suno Jana, 
Muhabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish ye Bad Gumani Ki Kahin Pighla Na De is ko
Main Kehta Hoon Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho,
 Mohabbat Ho Nai Sakti
Wo Kehti Hai Sada Aisay He Kiya tum Mujh Ko Chaho Ge
Keh Main is Main Kami Koi Bhi Gawara Ker Nai Sakti
Main Kehta Hoon 
Mohabbat Kiya Hai Yeh Tum nay sikhaya hai
Mujhay Tum Say Mohabbat K Siwa Kuch bhi Nahi Aata
Wo Kehti Hai 
Judai Se Bohat Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna Mumkin Nai Hai Ab
Main Kehta Hoon 
Yahi Khadshay Buht Mujh Ko sata'te Hain
Mager Sach Hai 
Mohabbat Main Judai Saath Chalti Hai
Wo Kehti Hai 
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum?
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien Bhula Do ge?
Main Kehta hoon 
Kabhi is Baat per socha nahi main ne
Ager ik pal ko b sochon tu saansien ruknay lagti hain
wo kehti hai 
tumhain mujh se mohabbat is qadr kyon hai
Keh main ik aam si lerki tumhain kyon khas lagti hon?
Main kehta hoon 
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
Meri deewangi kyon hai, yeh khud he jaan jao gi
Wo kehti hai 
mujhey warftgi say dekhtay kyon ho
keh main khud ko bohat qeemti mehsoos kerti hoon
Main kehta hoon 
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
Tumhien jab dekhta hoon, zindagi mehsoos kerta hoon
wo kehti hai 
mujay alfaz k jugno nai miltay keh tumhien bata sakon
keh dil main mere kitni muhabbat hai
Main kehta hoon 
mohabbat tu Nighaon say jhalkti hai
tumhari khamoshi muj say, tumhari baat kerti hai
Wo kehti hai 
batao na kis ko khone se darte ho
batao kon hai wo jisay yeh mousam bulatay hain
Main kehta hoon
 yeh meri shayari hai aaiena dil ka
zara dekho !! 
batao kiya tumhien is main nazar aya?
Wo kehti hai 
bohat baatain banatay ho
mager sach hai yeh batain bohat he shaad rakhti hain
Main kehta hoon 
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kuch zindgani ke tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka dilkash raqs hota hai
Nagihaien bolti hai or lab khamosh rehtay hain...