Monday, 30 November 2015

" D E C E M B E R "








" D E C E M B E R "

Meri Saari Baaten Hi
Tum To Rud Kerte Ho
Suno December..!!
Hud Kerte Ho.

" A H M I Y A T "



" A H M I Y A T "

Us Ne Apni Saari Chizen 
Otha Ker Sambhal Li
Siwae Mere...!!


Tum




Shab E Zindagi Main Tum
Yun Chaand Ban Ke Chamke
K...!!
Dil Ki Udasiyan Sab
Bin Mot Mar Gayi
Be Naseeb Zulmaton Ki Tarhan




Yaadon Ke Tasalsul Pe Koi Bas To Nahi Chalta



Yaadon Ke Tasalsul Pe Koi Bas To Nahi Chalta
Jab Yaad Kia Tum Ko
To Kahan Talak Na Pohnche...!!

Waqt Mile To Sochna Zara





Waqt Mile To Sochna Zara
Tera Na Milna
OR
Mera Mar Jana
Aik Baraber Nahi Hai Kia ?

Mujhe Maloom Tha ye Roz E Azl Se Ke Tum Mere Ho Sakte Nahi





Mujhe Maloom Tha ye Roz E Azl Se Ke Tum Mere Ho Sakte Nahi
Mager Dekho..!!
Mujhe Phir Bhi Muhabbat Hogayi Tum Se.

Wednesday, 25 November 2015

Sab (¯`'·.¸M U H A B B A T ¸.·'´¯) ka ik pehar hai





Yeh jo palkon peh rim jhim sitaron ka maila sa hai
Yeh jo teray bina koi itna akaila sa hai
Zindagi teri yaadon say mehka howa shehar hai
sub muhabbat ka ik pehar hai



Sahilon peh gharonday banaye they hum nay, tumhain yaad hai?
Rang barish main kaisay urraaye they hum nay, tumhain yaad hai?
Janay kis kailiye ghar sajaaye they hum nay, tumhain yaad hai?
Koii khushboo ka jhonka idher aa nikalta kahiin
Gum hai niindon key sehra main khwabon ka rasta kahiin
Her khushi aatay jaatay hue waqt ki lehar hai
Sub muhabbat ka ik pehar hai



Zindagi dhoop chaoon ka ik khail hai, bheerr chat'tii nahin
Aur issi khail main din guzarta nahin, raat kat'ti nahin
pyar kartay howay aadmi ki kabhi, umer ghat'ti nahin
Dil ki dehleez per aks-e-roshan teray naam say
Rat jagay aaiinon main khilay hian kahin shaam say
Aik darya hai chaaron taraf darmyaan lehar hai
sub muhabbat ka ik pehar hai





(¯`'·.¸B A R I S H¸.·'´¯)







Tum Jo Nahin Ho Sath Mere...
To AAG Lagay Barsaaton Ko...!!!





Phir sy har boond mein teri yaad ki lazzat ley kar,
Baarishein aag laganay ka hunar laayi hein…








Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay

Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Liye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay....














Khirkiyon Ke SHeshon Par

Reengtay Hoey Qatray

Youn Phisaltay Hain jasay

Meray Our Badal Ke

Darmayan Koi Hai -Jo

Meray Our Badal Ke

Raaz Ko Samajta Hai

Jab Gatayen Chayen To

Sirf Wo Nahi Rotein

Ankheen Be Barasti Hain

Khirkiyan Bi Roti Hain












SUno Jab Barish Barsa Karti Hai,
Aur Har Soo Pani Hota Hai,
Hum Apne Ghar K Aangan Mein,

Logo Ko Dekha Kate Hain,
Aur Tum Ko Socha Karte Hain,

Suno! Jab Rat Siah Ho Jati Hai,
Aur Chandni Phela Karti Hai,

Hum Apne Ghar K Aangan Mein,
Chup K Apne Bistar Par,
Taron Ko Dekha Karte Hain,
Aur Tum Ko Socha Karte Hain...











Kabhi Shokh Hain, Kabhi Gum Si Hain.

Ye Baarishen Bhe Tum Si Hain...











Barish Ka Maza Lena Ho To Humaari Aankhoon K Neeche Aa K Beth Jaao
"Dost"
BADAL to Kabhi Kabhi Barste Hain Hum To Barsoon Se Baras Rahe Hain..










Agli barish ka waada tha uss ka..
Koii uss sy kahy k aa jaao
Barish lout ayi hai...!!














Barishon k mosam mn,
Waqt k andheron mn,
Men ny us sy pucha tha,
CHOR TO NA JAO Gy?

Hath tham kr us ny,
Kaan mn ye bola tha,
Kesy chor sakta hoon,

TUM TO JAAN HO MERI.


Aur aj aisa hai,

Wqt ki tamazat mn,
Wehshaton k mosam mein,

Main ny us sy pucha hy,

CHOR KR HI JANA THA?

To

Aas q dilai thi?
Pyaas q jagai thi?

Mery in sawalon pr,
Chalty chalty wo bola,
Mosmon ki aadat hy,


"WAQT PR BADAL JANA"











Barish mujhe islye pyari lagti hai,

Q k barish tmari yaden le kr ati ha,

Tum mjhe islye pyare lagte ho,

Q k tmari yaden,

Barish ko or b pyara bna deti han,

Aj barish me akele bheeg kar,

     $....JANE Q....$

Mera dil mujh se bar bar keh rha tha,

K me barish ki hr ik bound se puchun,

Kya usy barishen aj b pyari lagti hain?















Barish Ki Rim Jim Bondon Me.
Jab Tum Ko Dhund Nahi Pata Hun.

Main Tum Ko Sochta Rehta Hun.
Or Pagal Sa Ho Jata Hun.












Aanchal teri Yadoon ka bhigo deti hai barish,
Sochoon Pe jami Gard ko dho deti hai barish.

Hans hans k sunaati hai jahan bhar k fasanay,
Poochhon tere baare mein tu ro deti hai barish!

Lagte hain Piyaare meri aankhon ko Ye manzar,
Hairat! mere Ehsas ko wo deti hai barish!

Yaadoon ki mehak ho Ya tere hijr k taanay,
Chup chaap main rakh leta hoon jo deti hai barish!

Mujh Par tu jo karti hy so karti hai inayat,
Moti tere baalon mein Piro deti hai barish.

(¯`'·.¸A N S O O ¸.·'´¯)








Dekho Kitna Kamal Us Ne Kia,

Mujh Se Mera Sawal Us Ne Kia,

Log Us K Liye Tarapte Rahe,

Kab Kisi Ka Khayal Us Ne Kia,

Jee Raha Hon Na Mout Aati Hai,

Aur Apna Ye Haal Us Ne Kia,

Totalay Thay Zaban K Jo Aashiq,

Un Ko Apna Bilal Us Ne Kia,

Hum Bulakte Rahe Wo Chor Gia,

Ye Sitam Ka Kamal Us Ne Kia,

Baad Marne K Roz Aane Ka,

Silsila Phir Bahaal Us Ne Kia,

Be Nawai Hai Us Ka Deen KASHIF,

Hum Ko Jo Be Sawal Us Ne Kia..













Tum kya jano yaado'n main kho kar ankhain kitna roti hain
dil main apno ka dard samo kar ankhain kitna roti hain

tumkya jano sawan ka mausam kitni aag lagata hai
barish ki boondon ko chhoo kar ankhain kitna roti hain.

ab to chhoti si baat par bhi yeh dil bhar sa jata hai
halki si dil ko lagti hai thokar ankhain kitna roti hain.

ab to ye jeena bhi hum ko koi bojh sa lagta hai
din bhar is baar ko dho kar ankhain kitna roti hain.

zakhm zakhm hain ankhain meri maazi ki parcchai say
apnay ander lahoo duboo kar ankhain kitna roti hain













wo bhi kya din thay k pal mein kr diya krtay thay hum
umer bhar ki chahton ko hr aik harjaai k naam

wo bhi kiya mosam thay jin ki nikhaton k zaiqay
likh diya krtay thay khaal-o-khad ki ra'anaai k naam

wo bhi kiya subhain thein jin ki muskurahat ka fasoon
waqf tha ehl-e-wafa ki bazm aaraai k naam

wo bhi kiya shamain thein jin ki shohratain mansoob thein
besabab khhultay huay baalon ki ruswaai k naam

ab k wo rut hy k hr tazaa qayamat ka azaab
apnay dil mein jaagtay zakhmon ki gehraai k naam

ab k apnay aansuon k sub shiksta aainay
kuchh zmanay k liye kuchh apni tnhaai k naam...












Tumhy Apni Ankhon Mein Nahi Rakha,
Kahin Aanson K Saath Beh Na Jao.
Tumhy Apny Dil Main Rakha hai,
Taa k Har Dharkan K Saath Yaad Aao...












Logo Ne Mere Ghum Ka Tamasha Bna Dia
Mere Chaman K Sth Mera Dil B Jala Dia

APNO Ne Meri Dosti Ka Kuch U SILA Dia
ULFAT K Badly Khoon K AANSO Rula Dia......












Parhnay walon ka Qehat hy Warna
Girty Aansu kitab Hoty Hain...........!










Main roya nai rulaya gaya hon,
Bana kr pasand phir thuraya gaya hon.

Chor diya gaya taqdeer k sahare,
Pyar k naam pe jalaya gaya hon.

Bht hi narm-o-nazuk tha mizaj apna,
Jeety je khak me milaya gaya hon.

Mareez-e-muhabat ko gulab raas kahan,
Hamesha k liye kanto pr sulaya gaya hon.

Be mout na marta to kia krta?
Bhari dunya me yun sataya gaya hon.

Kbhi jo palkon pe naaz uthate thy,
Aaj usi nazar se giraya gaya ho.












Kuch raaz hai jo bataye nai jate
kuch anso hai jo girai nhi jaty"

Hum wo badnaseeb hen jo yad nai ate"
Or ap wo khushnaseeb hen jo bhulaye nai jaty..















Ro Rahay Hien Aj Hum Bhi Ye Qasoor Faqat Hamara Hai.
Hanstay Thay Hum Bhi KabhI M0HABBAT karnay Walon Par,...!













Tere Ansu Meri Zindagi Se Zayada Qeemti Hain.......???
Teri Palkon Pe In ka Ana Mujhy Acha Nahi Lagta.....











waqt to humain bhula chuka hai muqadar bhi na bhula de"
mohabat hum is dar se nahi karte ke koi phir se na rula de"












Ye Ansoo Ye Ghum Kum Ni Hongy,
Ye Yaaden Ye Lamhy Har Pal Ni Hongy,

Bitaa Lia Karo Kuch Pal Hamary Sath,
Boht Yaad Karo Gy Jab Hum Nai Honge..!












Kbi Kabi To Ro Parti Hain Yunhi Ankhen,
Udas Hone Ka Koi Sbab Nhi Hota

Main Apne DiL Ko Ye Bat Kese Smjhaun,
K Kisi Ko Chahne Se Koi Apna Nhi hota...













Majburi me jab k0i juda hota hai,
Zaruri nahi k wo be'wafa hota hai.,
De kar wo apki aankhon me ansu,
Akele me ap se bhi zyada rota hai...












Aye Dil Bas Kar Itna Bhi Kisi Ko Chaha Nahi Karte,"
Jub Chahat Ki Qadar Na Rahe Phir Kisi Ko Socha Nahi Karte,"

Gawah Hain Humare Ye Chand Sitare Sab K Sab,"
Hum Tere Gham Main Raat Bhar Soya Nahi Karte,"

Koi Dekhe Ga To Tujhe Hi Gunhagar Thehraye Ga,"
Iss Dar Se Hum Palkon Pey Ansoo Laya Nahi Karte,"

Jub Kisi Ko Paaney Ki Umeed Baaqi Na Rahe,"
Phir Kisi Ko Youn Rab Se Bhi Maanga Nahi Karte.












Apni To Zndgi ki Ajeb kahani hai
Jis Chez ko Chaha Wo Hi Begani ha
Hste hain Dunia ko Hsney k Liye Wrna
Dunia Dob Jaye In Ankhn Main Itna Pani hai.











Jin k Dil Pe Lagti hy Wo Ankho se Nhi Rote
Jo Apno k Nhi hue Wo kisi k Nhi hote
Waqt Ne Mujhe Aksar Ye Sekhaya hy
Sapne Tot Jate hein Pr Pore Nhi hote.













Mujhe aaj bhi us k pyar ki shiddat ronay nahin dati.
Wo kehtia tha mar jaonga tere ansuon k girne se pehly.












Wo Apni Neendon Ki Khumari Main Mera Haal Tak Na Poch Saka.
Mere Aansuon ki Tip Tip ko wo Barish Samajh k so Gaya...











Muskan Banaye Rakho To Dunya Hai Sath Warna, ,
Aansoun Ko To Ankhon Main Bhi Panah Nahi Milti, , , , ,

Monday, 23 November 2015

چلو رکھ کے رستوں میں پھر سے دیئے کسی کے قدم کے نشانوں کودیکھیں






چلو رکھ کے رستوں میں پھر سے دیئے کسی کے قدم کے نشانوں کودیکھیں
چلو پھر سے کھولیں کتابیں وفا کی محبت کے رنگیں فسانوں کو دیکھیں

چلو عہدِ رفتہ کو آواز دے دیں چلو مُڑ کے پچھلے زمانوں کو دیکھیں
جہاں من کی ہر اک تمنا ہو پوری فلک پہ اب ان آستانوں کو دیکھیں

محبت کے پنچھی کو آزاد کرکے محبت کی اونچی اڑانوں کو دیکھیں
شہر میں اگر کوئی ہمدم نہیں تو جنگل ، بیاباں ، ویرانوں کو دیکھیں

چلائیں بدن پہ اب اپنے ہی تیر طاقت جگر کی ، کمانوں کی دیکھیں
چلو مل کے مانگیں دعائیں ملن کی تاثیر اپنی زبانوں کی دیکھیں...!