Wednesday, 25 November 2015

(¯`'·.¸A N S O O ¸.·'´¯)








Dekho Kitna Kamal Us Ne Kia,

Mujh Se Mera Sawal Us Ne Kia,

Log Us K Liye Tarapte Rahe,

Kab Kisi Ka Khayal Us Ne Kia,

Jee Raha Hon Na Mout Aati Hai,

Aur Apna Ye Haal Us Ne Kia,

Totalay Thay Zaban K Jo Aashiq,

Un Ko Apna Bilal Us Ne Kia,

Hum Bulakte Rahe Wo Chor Gia,

Ye Sitam Ka Kamal Us Ne Kia,

Baad Marne K Roz Aane Ka,

Silsila Phir Bahaal Us Ne Kia,

Be Nawai Hai Us Ka Deen KASHIF,

Hum Ko Jo Be Sawal Us Ne Kia..













Tum kya jano yaado'n main kho kar ankhain kitna roti hain
dil main apno ka dard samo kar ankhain kitna roti hain

tumkya jano sawan ka mausam kitni aag lagata hai
barish ki boondon ko chhoo kar ankhain kitna roti hain.

ab to chhoti si baat par bhi yeh dil bhar sa jata hai
halki si dil ko lagti hai thokar ankhain kitna roti hain.

ab to ye jeena bhi hum ko koi bojh sa lagta hai
din bhar is baar ko dho kar ankhain kitna roti hain.

zakhm zakhm hain ankhain meri maazi ki parcchai say
apnay ander lahoo duboo kar ankhain kitna roti hain













wo bhi kya din thay k pal mein kr diya krtay thay hum
umer bhar ki chahton ko hr aik harjaai k naam

wo bhi kiya mosam thay jin ki nikhaton k zaiqay
likh diya krtay thay khaal-o-khad ki ra'anaai k naam

wo bhi kiya subhain thein jin ki muskurahat ka fasoon
waqf tha ehl-e-wafa ki bazm aaraai k naam

wo bhi kiya shamain thein jin ki shohratain mansoob thein
besabab khhultay huay baalon ki ruswaai k naam

ab k wo rut hy k hr tazaa qayamat ka azaab
apnay dil mein jaagtay zakhmon ki gehraai k naam

ab k apnay aansuon k sub shiksta aainay
kuchh zmanay k liye kuchh apni tnhaai k naam...












Tumhy Apni Ankhon Mein Nahi Rakha,
Kahin Aanson K Saath Beh Na Jao.
Tumhy Apny Dil Main Rakha hai,
Taa k Har Dharkan K Saath Yaad Aao...












Logo Ne Mere Ghum Ka Tamasha Bna Dia
Mere Chaman K Sth Mera Dil B Jala Dia

APNO Ne Meri Dosti Ka Kuch U SILA Dia
ULFAT K Badly Khoon K AANSO Rula Dia......












Parhnay walon ka Qehat hy Warna
Girty Aansu kitab Hoty Hain...........!










Main roya nai rulaya gaya hon,
Bana kr pasand phir thuraya gaya hon.

Chor diya gaya taqdeer k sahare,
Pyar k naam pe jalaya gaya hon.

Bht hi narm-o-nazuk tha mizaj apna,
Jeety je khak me milaya gaya hon.

Mareez-e-muhabat ko gulab raas kahan,
Hamesha k liye kanto pr sulaya gaya hon.

Be mout na marta to kia krta?
Bhari dunya me yun sataya gaya hon.

Kbhi jo palkon pe naaz uthate thy,
Aaj usi nazar se giraya gaya ho.












Kuch raaz hai jo bataye nai jate
kuch anso hai jo girai nhi jaty"

Hum wo badnaseeb hen jo yad nai ate"
Or ap wo khushnaseeb hen jo bhulaye nai jaty..















Ro Rahay Hien Aj Hum Bhi Ye Qasoor Faqat Hamara Hai.
Hanstay Thay Hum Bhi KabhI M0HABBAT karnay Walon Par,...!













Tere Ansu Meri Zindagi Se Zayada Qeemti Hain.......???
Teri Palkon Pe In ka Ana Mujhy Acha Nahi Lagta.....











waqt to humain bhula chuka hai muqadar bhi na bhula de"
mohabat hum is dar se nahi karte ke koi phir se na rula de"












Ye Ansoo Ye Ghum Kum Ni Hongy,
Ye Yaaden Ye Lamhy Har Pal Ni Hongy,

Bitaa Lia Karo Kuch Pal Hamary Sath,
Boht Yaad Karo Gy Jab Hum Nai Honge..!












Kbi Kabi To Ro Parti Hain Yunhi Ankhen,
Udas Hone Ka Koi Sbab Nhi Hota

Main Apne DiL Ko Ye Bat Kese Smjhaun,
K Kisi Ko Chahne Se Koi Apna Nhi hota...













Majburi me jab k0i juda hota hai,
Zaruri nahi k wo be'wafa hota hai.,
De kar wo apki aankhon me ansu,
Akele me ap se bhi zyada rota hai...












Aye Dil Bas Kar Itna Bhi Kisi Ko Chaha Nahi Karte,"
Jub Chahat Ki Qadar Na Rahe Phir Kisi Ko Socha Nahi Karte,"

Gawah Hain Humare Ye Chand Sitare Sab K Sab,"
Hum Tere Gham Main Raat Bhar Soya Nahi Karte,"

Koi Dekhe Ga To Tujhe Hi Gunhagar Thehraye Ga,"
Iss Dar Se Hum Palkon Pey Ansoo Laya Nahi Karte,"

Jub Kisi Ko Paaney Ki Umeed Baaqi Na Rahe,"
Phir Kisi Ko Youn Rab Se Bhi Maanga Nahi Karte.












Apni To Zndgi ki Ajeb kahani hai
Jis Chez ko Chaha Wo Hi Begani ha
Hste hain Dunia ko Hsney k Liye Wrna
Dunia Dob Jaye In Ankhn Main Itna Pani hai.











Jin k Dil Pe Lagti hy Wo Ankho se Nhi Rote
Jo Apno k Nhi hue Wo kisi k Nhi hote
Waqt Ne Mujhe Aksar Ye Sekhaya hy
Sapne Tot Jate hein Pr Pore Nhi hote.













Mujhe aaj bhi us k pyar ki shiddat ronay nahin dati.
Wo kehtia tha mar jaonga tere ansuon k girne se pehly.












Wo Apni Neendon Ki Khumari Main Mera Haal Tak Na Poch Saka.
Mere Aansuon ki Tip Tip ko wo Barish Samajh k so Gaya...











Muskan Banaye Rakho To Dunya Hai Sath Warna, ,
Aansoun Ko To Ankhon Main Bhi Panah Nahi Milti, , , , ,