Sunday 4 October 2015

Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa,Umar Guzri Tujhe Dekhe Howay Behlaye Howay




Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa,
Umar Guzri Tujhe Dekhe Howay Behlaye Howay

Yad Hai?
Hum Tujhe Dil Mante Thay
Apne Seene Mein,
Machalta Howa Zidi sa Bacha
Tere Har Naz Ko,
Ungli Se Pakar Kar Aksar

Nit Naye Khawabon,
K Bazar Mein Le Aate Thay
Tere,Har Nakhre Ki Farmaish Par,
Aik Jeewan Ki Tamanaon Ki Beenai Se,
Hum Dekhte Thakte hi Na Thay

Sochtay Thay,
Aik Chota Sa Naya Ghar,
Mohabbat Ki Fiza
Hum Dono,
Aur Kisi Bat Pe Takion Se Larai Apni,
Phir Larai Mein Kabhi Hanste Howay Ro Parna,
Aur Kabhi Rote Howay Hans Parna,
Aur Thak Haar Kar Gir Parne Ka Mosam,
Khushi Bakhsh Khayal

Yad Hai?
Hum Tujhe Sukh Jante Thay
Rat Hans perti Thi,
Be Sakhta drshan Se Tere
Dil Teri Doori Se Ro Parta Tha,

yad hai?
Hum Tujhe Jan Kaha Karte Thay,
Teri Khamoshi Se Mar Jate,
Teri Aawaz Se Jee Uthte Thay,
Tujh Ko Choo Lene Se Ek Zindagi Aa Jati Thi,
Sharyano Mein
Thaam Lene Se, Koi Shehr Sa Bas Jata Tha Veerano Mein,

Yad Hai?
Hum Tujhe emaan kaha kerte the,
Kufar Se Dar Jate Thay
Tere Chin Jane Ka Dar,
Theek Se Rakhta Tha Musalman Humain,

Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa,
Tere Bhoole Howay Raston Pe,
Liye Phirta Hai Eman Humain,
Aur Kehta Hai K Pehchan Humain,
Yad Hai ?
Hum Tujhe Eman Kaha Karte Thay.................!