Sunday, 12 February 2017

orrr phir apni anaa k paoon pay sir rakh dia...


kal hamaisha ki terhaa usnay kaha ye phone per,
main bohat masroof hoon mujhe bohat say kaam hain..

is leye tum aoo milnay main to aa sakti nahi,
her riwayat toor ker is baar main nay keh dia..

tum jo ho masroof to main bhi bohat msroof hoon,
tum ager ghamgeem ho to main bhi bohat ranjoor hoon..

tum thakan say choor to main bhi thakan say choor hoon,
jan-e-man hai waqt mera bhi bohat he qeemti..

kuch pouranay doustoon nay milnay aana hai abhi,
main bhi ab farigh nahi mujhko bhi lakhoon kaam hain..

werna kahnay ko to sab lamhay tumharay naam hain,
meri ankhain bhi bohat bojhal hain sona hai mujhay..

ratjago k baad abb neendoon main khoona hai mujhay,
main lahooo apni anaoon ka baha sakta nahi..

tum nahi aa saktin to milnay main bhi aa sakta nahi,
uss ko ye kah ker wasi main nay reciever rakh dia,
orrr phir apni anaa k paoon pay sir rakh dia...