Wednesday 25 November 2015

Sab (¯`'·.¸M U H A B B A T ¸.·'´¯) ka ik pehar hai





Yeh jo palkon peh rim jhim sitaron ka maila sa hai
Yeh jo teray bina koi itna akaila sa hai
Zindagi teri yaadon say mehka howa shehar hai
sub muhabbat ka ik pehar hai



Sahilon peh gharonday banaye they hum nay, tumhain yaad hai?
Rang barish main kaisay urraaye they hum nay, tumhain yaad hai?
Janay kis kailiye ghar sajaaye they hum nay, tumhain yaad hai?
Koii khushboo ka jhonka idher aa nikalta kahiin
Gum hai niindon key sehra main khwabon ka rasta kahiin
Her khushi aatay jaatay hue waqt ki lehar hai
Sub muhabbat ka ik pehar hai



Zindagi dhoop chaoon ka ik khail hai, bheerr chat'tii nahin
Aur issi khail main din guzarta nahin, raat kat'ti nahin
pyar kartay howay aadmi ki kabhi, umer ghat'ti nahin
Dil ki dehleez per aks-e-roshan teray naam say
Rat jagay aaiinon main khilay hian kahin shaam say
Aik darya hai chaaron taraf darmyaan lehar hai
sub muhabbat ka ik pehar hai