Monday 4 January 2016

Ghazal's



  Waqt Mile To Sochna Zra

Tera Na Milna

Or 

Mera Mar Janaa

Aik Braber Nahi Hai Kia..? 

 

 

 

 

Faasle...

Muhabbat kaat sakti hai 

Dilon ke Faasle 

Lekin..!

Teri Meri Anna Ke Butt

Jagah se Hill Sakte Nahi

Sitaare Mil Sakte Nahi.

 

 

 

 Dard-e-Mushtarik 

Tumhain daikhaa nahi Jana nahi Phir bhi ye lagtaa 

hai Qabeela aik hai apnaa!!!!! 

Wohi dard-e-judai hai Wahi bheegi hui palkain 

Naseeba aik hai apna!!! 

Kisi se kuch nahi kehnaa Koi shikwaa nahi karnaa 

Qarenaa aik hai apnaa!! 

Kisi ki yaad se Weran-i-dil jagmaga lainaa 

Khazeena aik hai apnaa!!

 Yaqeen ki akhri had tak Milan ki khushgumani hai 

Nateeja aik hai apnaa!

 

 

 

 

Tum Bin


Tum Bin Meri Zaat Adhuri 
Jesy Koi Baat Adhuri 
Hijr K Sare Din Hen Poorey.. 
Lekin Hy Hr Raat Adhuri.. 
Lafzon Ki Gehrai Mey Jhanko
 Samjho Na Hr Baat Adhuri 
Num Aankhen Or Sookhi Palken 
Hoti Hy Barsat Adhuri 
Mujh Se Mujh Ko Cheen Geya Tum
 Reh Gai Meri Zaat Adhuri..!

 

 

 

 

 

Mohobbat khush gumaan hai.......

 ((Mohobbat ik Dua hai)) 

Mohobbat ik Dua hai Mujhay bus ye Dua daina

 Khata koi ju ho jaey Kabhi lehja badal jaey

 Zaroori baat reh jaey Mera chehra bigar jaey 

Ager pehchaan na paoon Tumhay gar jaan na paoon 

Dua daina Mohobbat ik Dua hai Tum mujhay bus ye Dua daina 

Sitaray toorna paoon Tumharay kaam na aaon 

Tawazun ju na reh paey Nazar bandi nazar aaey 

Ishara ho shararat ka Koi dhoka basarat ka 

Dua daina Mohobbat ik Dua hai Tum mujhay bus ye Dua daina

 Main tum se keh nai paya Tumharay naam ka saya 

Meray humrah rehta hai Mujhay her pal ye kehta hai 

Koi mushkil ju dar aaey Tasawur mera dhundlaey 

Dua daina Mohobbat ik Dua hai Tum mujhay bus ye Dua daina.

 

 

 

 

 




Mohabbat Jeet Hoti Hia 

Mohabbat Jeet Hoti Hia magar ye haar jaati ha 

magar Ye Haar Jaati Hai

 Kabhi Dil Soz Lamhon Se 

Kabhi Bekaar Rasmon Se

 Kabhi Taqdeer Walon Se 

Kabhi Majboor Qasmon Se 

Magar Ye Haar Jaati Hai 

Kabhi Ye Phool Jaise Hai

 Kabhi Ye Dhool Jaise Hai

 Kabhi Ye Chand Jaise Hai

 Kabhi Ye Dhoop Jaise Hai 

Kabhi Masroor Karti Hai

 Kabhi Ye Rog Deti Hai

 Kisi Ka Chain Banti Hai

 Kisi Ko Rol Deti Hai 

Kabhi Le Paar Jaati Hai 

Kabhi Ye Maar Jaati Hai

 Mohabbat Jeet Hoti Hia 

Magar Ye Haar Jaati hai

 

 

 

 

 






Muhabbat Mar Nahi Sakti..

hazaron dukh paray sehna mohabbat mar nahin sakti 

hai tum say bus yeh hi kehna mohabbat mar nahin sakti

 tera har baar meray khat ko parhna aur ro dena 

mera har baar yeh hi likh dena mohabbat mar nahi sakti 

kia tha hum ney campus ki nadi per ik haseen waada 

bhalay hum ko paray marna mohabbat mar nahin sakti 

jahan mai jab talak panchi chahektay udtay phirtay hain

 hai jab tak phool ka khilna mohabbat mar nahin sakti

 puranay waadey ko jab zinda kernay ka khiyaal ayay 

muyjhay bas itna likh dena mohabbat mar nahin sakti 

wo tera hijar ki shab phone rakhnay say zara pehlay bohat rotey huay kehna

 muhabbat mar nahin sakti 

puraanay raabton ko phir naey waadon ki khwahish hai

 zara ik baar to kehna 

mohabbat mar nahin sakti 

gayay lamhaat wo fursat k kahan say dhoond ker laaoon

 wo pehron hathon pai likhna mohabbat mar nahi sakti. 

ager hum hasraton ki qabar mai hi dafan ho jaain to

 yeh kutbon per likh dena

 mohabbat mar nahin sakti

 

 

 

 

 







Tumhain Janan Ijazat Hai

 K in Tareek Rahon Par Thakan Si Khud Mein Pao to 

Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae Thak Si Jao To 

Mere Jalte Hue Lamhon Mere Bekangal Hathon Se Chora K Apne Hathon Ko

 Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena 

Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena 

Koi Gar Pooche Mera To Usse Zikar Mat Karna 

Mere Jeevan Ki Jalti Dopahar Se Begharz Ho Kar

 Tum Apni Chandni Raton Mein Jugnoo Palti Rehna 

Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna

 Tumhein Is Ki Ijazat Hai 

Mere Sab Khat Jala Dena 

Mere Tehfoon Ko Darya Mein Baha Dena 

Meri Har Yad Ko Dil Se Khurachna Or Mita Dena

 Tumhain Bilkul Ijazat hai 

K Jab Chaho Bhula Dena

 Magar Itni Guzarish Hai 

Agar Aisa Na ho Janan To Acha Hai Na............ !! 





 

 


Yehi Rasm-e-Wafa hai
Honton py Dua hai Roye Na Koi Dil Har K

Kisi Jhonkay Ne Fiza k
Gham Ka Fasana Likh Diya Pholon K Rukhsar py

Gham Hain Ye Gehere
Aankhon me Jo Tehere
Lagte Hain Begane Kyun Apno k Chehre

Kaisi Aagan Hai
Kaisi Jalan Hai
Jalti Hai Nam Aankhon me Sham Sawery

Mere Sath Chali Tanhai
Tujh Se Jo Ye Nazar Milai

Rab'ba Haal Mera Tu hi Jane
Khudgarz Hain Log Deewane

Kaise Dil Ne Hamain Tarpaya
Jaane Kyun Ye Rog Lagaya







Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta,
Kisi bhi Aaina me dair tak chehra nahi rehta...

Baray logon se milne me hamesha fasla rakhna,
Jahan darya samandar se mila, darya nahi rehta...

Tumhara Shehar to bilkul naye andaz wala hai,
Hamare shehar me bhi ab koi hum sa nahi rehta...

Mohabbat aik khushbu hai hamesha saath chalti hai,
Koi insan tanhai me bhi tanha nahi rehta....

Koi badal haray mausam ka phir ailan karta hai,
Khizan ke bagh mein jab aik bhi patta nahi rehta...








Udaas Shamein, Ujaad Rastey, Kabhi Bulayen
To Laut Ana;
Kisi Ki Ankhon Mein Ratjagon Ke Azaab Ayen To
Laut Ana;

Abhi Nayi Wadiyon, Naye Manzron Main Reh
Lo Magar Meri Jaan;
Yeh Saarey Aik Aik Karke Jab Tum Ko Chhod
Jayen To Laut Ana;

Naye Zamanon Ko Qurb Orrhey, Zayeef
Lamhey, Niddhaal Yadein;
Tumharey Khawbon Ke Band Kamron Mein Laut
Ayen To Laut Ana;

Agar Andheron Mein Chod Kar Tum Ko Bhool
Jayen Tumhare Sathi;
Aur Apni Khatir Hi Apne Apne Diye Jalayen To
Laut Ana;

Meri Woh Batein To Jin Pe Be'ikhtyaar Hanstaa
Tha Khil'khilaa Kar;
Bicharney Wali Meri Woh Batein Kabhi
Rulaayein To Laut Ana!





Bhoole Na Kisi Haal Me Aadaab-e-Nazar Hum.
Mur Kar Na Tujhe Dekh Sake Waqt-e-Safar Hum.

Ay Hussn! Kisi Ne Tujhe Itnaa Tu Na Chaaha.
Barbaad Huwa Tere Liye Kon Magar Hum.

Jeene ka Hamein Khud Na Mila Waqt Tu Kya Hai.
Logon ko Sikhlaate Rahe Jeene Ka Hunar Hum.

Ab Tere Taalluq Se Hamein Yaad Hai Itna.
Aik Raat ko Mehmaan Rahe Thay Tere Ghar Hum.

Dunya Ki Kisi shaan Se Dhundla Nahi Sakta.
Aankhon Me Liye Phirte Hain jo Khuwaab-e-Sehar Hum.

Wo Kon Si Aahat Thi Jo Khuwaabon Me Dar Aayi.
Kya Jaaniye Kiun Chaunk Parre Pichle Pehar Hum.







Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain..

Idhar Kuch Din Se Hum Har Raabtey Se Kat Chuke Hain..

Isi Mehdood Safhey Par Likhein Apni Kahaani..
K Hum Doonon Taraf Se Haashiyon Mein Bat Chuke Hain..

Bharam Rakha Huwa Hai Dhoop Mein Saaye Ne Apna..
Wagarna ! Hum Qad-o-Qaamat Mein Kab k Ghat Chuke Hain..

Wohi Sooraj Se Le Kar Chaand Tak Lamho'n ka Chalna..
Hamein Ab Roz-o-Shab k Sab Manaazir Rat Chuke Hain..











Dhoop Ho Chaaon Ho Tum Saath Nibhaiya Karna
Meray Chehray Pey Sada Palkoon Ka Saeya Karna,

Raah Dekhun Gi Tumhaari Main Sar-E-Shaam Yoonhi
Kabhi Jaldi Kabhi Dair Say Aaya Karna,

Daant Lena Sar-E-Mehfil Koi Baat Nahin
Phir Akaley Main Gale Laga Kay Mnaaya Karna,

Jaan Jaon Gi Main Khushbu Say Tumhaari Tum Ko
Tum Peechay Say Meri Aankhoon Ko Chupaya Karna,

Jagna Chahoon To Raat Bhar Baatain Karna
Niend Aa Jaaye To Seeny Per Sulayaa Karna"








Tum Hi Se Mera Chaand Khilay,
Tum Hi Se Chaandni Milay,

Tum Hi Se Subaah Ho Meri,
Tum Hi Se Meri Shaam Dhalay,
Tum Hi Se Mehkay Har Kali,
Tum Hi Se Her Phool Khilay,

Tum Hi To Apnay Ho Meray,
Tum Hi Se Hain Sub Gilay,
Tum Hi To Chaahat Ho Meri,
Tum Hi Se Mera Dil Milay,








Aisi lagi udaas sar-E-shaam
ZINDGI


Jaise kisi ki aankh ka ilzam
"ZINDGI"

Apny jahan mein dekha teray baad kuch nahi,

Hum ne laga di aaj tery naam
"ZINDGI"

Jis k bina ye saans mujhe DooBti lagi,

Ja k ussy bhi DhoonD kisi shaam
"ZINDGI"

Ye piyaar dard na ban saky jis k nashy mein,

Mujhko pila de aaj wohi jaam
"ZINDGI"

Ab doston k haath mery haath main nahi,

Girny laga hon aaj mujhe thaam












Youn Tere Husun Ki Tasveer Ghazal Mein Aaye,
Jaise Balqees Sulaiman K Mehel Mein Aaye,

Jabar Se Aik Howa Zaiqa-e-Hijar-O-Wisal,
Ab Kahan Se Wo Maza Sabar K Phal Mein Aaye,

Hamsafar Thi Jahan Farhad K Taishe Ki Sada,
Wo Maqamat Bhi Kuch Sair-o-Jabal Mein Aaye,

Ye Bhi Aaraish-e-Hasti Ka Taqaza Tha K Hum,
Halqa-e-Fikr Se Maidan-e-Amal Mein Aaye,

Har Qadam Dast-o-Greban Hai Yahan Khair Se Shar,
Hum Bhi Kis Marka-e-Jang-o-Jadal Mein Aaye,

Zindagi Jin K Tasawur Se Jila Pati Thi,
Haye Kia Log Thay Jo Dam-e-Ajjal Mein Aaye..













Elawah Iss K Mohabbat Ne Kiya Diya Hai Mujhe
Jala K Taiz Hawa Mein Bujha Diya Hai Mujhe

Sitaara Ban K Sulgta Raha Hoon Jis K Liye
Usi Ne Khaak Mein Aa Kar Mila Diya Hai Mujhe

Mein Yaad Rakhta Nahi Hoon Mein Us Ko Yaad Nahi
Mein Bhool Jata Hoon Us Ne Bhula Diya Hai Mujhe

Fana Ka Aakhri Jhonka Guzar Chuka Hai Sahib
K Loh-e-Dil Se Kisi Ne  Mitta Diya Hai Mujhe.....











Dabi Dabi Si Woh Muskurahat; Labon Pe Apney Saja Saja Ke,
Woh Narm Lehje Me Baat Karna; Adaa Se Nazren Jhuka Jhuka Ke,

Woh Aankh Teri Shararti Si;Woh Zulff Maathey Pe Naachti Si,
Nazar Hatey Na Ek Pal Bhi;Main Thak Gaya Hoon Hata Hata ke,

Woh Tera Haathon Ki Ungliyon Ko;Mila Ke Zulfon Main Khho Sa Jana,
Haya Ko Chehrey Pe Phir Sajana,Phhool Chehra Khila Khila Ke,

Woh Haath Hooron Ke Ghar Hon Jasey,Woh Paa'On Pariyon Ke Par Hon Jasey,
Nahi Hai Teri Misaal JANAA;Main Thak Gaya Hun Bata Bata ke..












Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hai..
Ik Samandar Meri Aankhon Se Baha Karta Hai..

Uss Ki Batain Mujhe Khushbu Ki Tarah Lagti Hain..
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hai..

Mere Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hai..
Woh Har Ik Shakhs Ko Daanista Khafa Karta Hai..

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi..
Baat Itni Hae Kay Woh Mujh Se Jafa Karta Hai..

Jab Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi..
Wo Bahaaron Main Zara Kam Mila Karta Hai..













Wisal Mosam Guzar Gaya To Khyaal Ban Kar Mila Karaingy
Bichar Gay Hum Agar To Phir
Maah_o_Saal Ban Kar Mila Karaingy

Kitab_e_Ehd_o_Wafa K Ek Ek Warq Pe Apni Khabar Milegi
Hum Ehl_e_Ulfat Mohbaton Ki Misaal Ban Kar Mila Karaingy

Hazar Lamhon Ki Ho Musafat Dilon Ki Dharkan Sunai Degi
Guzrty Lamhon Ki Har Sada Me Kamal Ban Kar Mila Karengy

Abi To Lamhon Ki Dooriyon Par Bhatak Rahy Hain Magar Kabi Hum
Falak Ki Gardish Me Aa Gay To Hilal Ban Kar Mila Karaingay













 Kia mila us ko Mohabbat mein judayee de kar,
Jis ko paya tha Sar-e-Aam khudayee de kar,

Is ka gham ab to mujhe reza reza karta hai,
Thak gai Rooh bhi ab is ko duhaayee de kar,

Aaj bikhra hoon mein tootey huay taarae ki tarah "WASi"
Aaj wo khush hay mujhe khud se rehayee de kar.....!














Kaati Hai Gham Ki Raat Bare Ehtraam Se,
Aksar Bujha Liya Hai Charaghon Ko Shaam Se,

Roshan Hai Apni Bazm Aur Isse Ehtemaam Se,
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Chiragho'n Ke Naam Se,

Muddat Hui Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar,
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dil ke JaaM Se,

Subh-E-Bahar Humko Bulati Rahi Magar,
HuM Khelte Rahe Kisi Damakti Shaam Se,

Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua,
Ahista Aye Hayat ! Guzar Is MuqaaM Se,

Kati Tamaam umr Faraib-E-Bahaar Mein,
Kante Samait-te Rahe Phoolon Ke Naam Se,

Ye Aur Baat Hai Ke HuM Na Sun Sake,
Awaz Usne Di Hai Hamein Har MuqaaM Se...!!











mujhe bujha de, mera dard mukhtasir kar de
magar diye ki tarah mujh ko mo’atbar kar de

meri talaash ko benaam-o-besafar kar de
main tera raasta chhoRuu to dar-ba-dar kar de

judaaiyoN kii ye raateN to kaatnii ho'ngii
kahaaniyoN ko ko’ii kaise muKhtasir kar de

tere Khayaal ke haathoN kuch aisaa bikhraa hoon
ke jaise bachaa kitaabein idhar-udhar kar de











Lakh doori ho magar ehad nibhate rehna..
Jub b barish ho mera soog manate rehna...

Tum gaye ho to sari shaam ye adat tehri..
Bus kinare pe khare hath hilate rehna..

Jane is dil ko ye adab kahan se aaye..
Us ki rahoo me nigahoo ko bichate rehna..

ek modat se ye maamool howa hai ab to..
Aap hi roothna aap hi manate rehna..

Tum ko maaloom he Saqi, ye pagal pan hai..
Door jate howe logoo ko bulate rehna..













mujhe bujha de, mera dard mukhtasir kar de
magar diye ki tarah mujh ko mo’atbar kar de

meri talaash ko benaam-o-besafar kar de
main tera raasta chhoRuu to dar-ba-dar kar de

judaaiyoN kii ye raateN to kaatnii ho'ngii
kahaaniyoN ko ko’ii kaise muKhtasir kar de

tere Khayaal ke haathoN kuch aisaa bikhraa hoon
ke jaise bachaa kitaabein idhar-udhar kar de











 Lakh doori ho magar ehad nibhate rehna..
Jub b barish ho mera soog manate rehna...

Tum gaye ho to sari shaam ye adat tehri..
Bus kinare pe khare hath hilate rehna..

Jane is dil ko ye adab kahan se aaye..
Us ki rahoo me nigahoo ko bichate rehna..

ek modat se ye maamool howa hai ab to..
Aap hi roothna aap hi manate rehna..

Tum ko maaloom he Saqi, ye pagal pan hai..
Door jate howe logoo ko bulate rehna..












Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil se Bojh Utaar Do,
Main Bahut Dino Se Udaas Hoon Mujhe Ek Shaam Udhaar Do,

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do, K Chamak Sake Mere Khad-o-khal,
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do Mera Sara Zang Utaar Do,

Kisi Aur Ko Mere Haal Se Koi Gharz Hai , Na Hi Wasta,
Mere Dil pe Haath Rakho Zara , Meri Dhadkano Ko Qaraar Do,

Tumhe Subah Kaisi Lagi Kaho Meri Khwahishon Ke Dayaar Ki,
Jo Bhali Lage To Yehi Raho Ise Chahaton Se Nikhaar Do,

Wahan Ghar Pe Kaun Hai Muntazir K Ho Fikr Der Sawer Ki,
Badi Mukhtasir Si Ye Raat Hai.. esse Chandni Mein Guzaar Do,

Koi Baat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsaar Ki Aout Mein,
Mujhe Raaste Mein Yahin Kahin Kisi Kunj-E-Gul Mein Utaar Do…












Chhoti See Shikaayat Par Mounh Morh Key ChaL Deina

Yeh Kaisii MOHABBAT Hey
Yeh Kaisi RaFaQat Hay
Gar Paas-e-WAFA Rakhh Kar Tum Maan Barha Daitey
BeLous RaFaaQat Par
Emaan Barhaa Deitay
Main Fakhar Say Phirr Kehtaa
Tum Jaan-e-RafaaQat Ho
Tum Baab E MOHABBAT Ho
Tehreer-e-SadaaQat Ho
Yeh Sab Hey MaGar Tabb Bhee
Hay Mujh Ko YaQeen Abb Bhii
Jo Kuchh Bhii Kahaa Main Nay.
Shikwa Hey, Shikaayat Hay Laikin.?
Ye HaQeeQat Hey
Bass Tum Say
MOHABBAT Thii
Aur Tum Se MUHABBAT He
Jo Kuchh Bhee Kahaa Tum Ney
Jazbaat Kee Shiddat Thee
Bass WaQtii Inaayatt Thii..??